Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain

Zafar Iqbal

bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    bahut suljhī huī bātoñ ko bhī uljhā.e rakhte haiñ

    jo hai kaam aaj kal tak use laTkā.e rakhte haiñ

    taġhāful ravā rakhte haiñ us ke sāmne kyā kyā

    magar andar andar tab.a ko lalchā.e rakhte haiñ

    hamārī justujū se dūr-tar hai manzil-e-ma.anī

    usī ko kho.e rakhnā hai jise ham paa.e rakhte haiñ

    hamārī aarzū apnī samajh meñ bhī nahīñ aatī

    pajāma is tarah hai jise ulTā.e rakhte haiñ

    havā.eñ bhuul kar bhī is taraf ruḳh nahīñ kartīñ

    so ye shāḳh-e-tamāshā aap tharrā.e rakhte haiñ

    isī raushnī hai aur isī meñ bhasm honā hai

    ye shola shaam jo raat bhar bhaḌkā.e rakhte haiñ

    ham itnī raushnī meñ dekh bhī sakte nahīñ us ko

    so apne aap is chāñd ko gahnā.e rakhte haiñ

    nasheb-e-shā.irī meñ hai hamārī zaat se raunaq

    yahī patthar hai jis ko raat din luḌhkā.e rakhte haiñ

    ye ghar jis hai us ne vāpas aanā hai 'zafar' is meñ

    isī ḳhātir dar-o-dīvār ko mahkā.e rakhte haiñ

    bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain

    jo hai kaam aaj ka kal tak use laTkae rakhte hain

    taghaful sa rawa rakhte hain us ke samne kya kya

    magar andar hi andar taba ko lalchae rakhte hain

    hamari justuju se dur-tar hai manzil-e-mani

    usi ko khoe rakhna hai jise hum pae rakhte hain

    hamari aarzu apni samajh mein bhi nahin aati

    pajama is tarah ka hai jise ulTae rakhte hain

    hawaen bhul kar bhi is taraf ka ruKH nahin kartin

    so ye shaKH-e-tamasha aap hi tharrae rakhte hain

    isi ki raushni hai aur isi mein bhasm hona hai

    ye shola sham ka jo raat bhar bhaDkae rakhte hain

    hum itni raushni mein dekh bhi sakte nahin us ko

    so apne aap hi is chand ko gahnae rakhte hain

    nasheb-e-shairi mein hai hamari zat se raunaq

    yahi patthar hai jis ko raat din luDhkae rakhte hain

    ye ghar jis ka hai us ne wapas aana hai 'zafar' is mein

    isi KHatir dar-o-diwar ko mahkae rakhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now