Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut sundar ghazab achchha lagega

Sajid Raheem

bahut sundar ghazab achchha lagega

Sajid Raheem

MORE BYSajid Raheem

    bahut sundar ġhazab achchhā lagegā

    jo pahnegā sab achchhā lagegā

    tumhāre saath jo achchhā lagā hai

    tumhāre baa'd kab achchhā lagegā

    maiñ saarī 'umr itnā chup rahā huuñ

    mujhe har bol ab achchhā lagegā

    abhī kuchh der meñ āñkheñ khuleñgī

    abhī kuchh der sab achchhā lagegā

    hameñ is shahr se jaanā paḌegā

    hameñ ye shahr jab achchhā lagegā

    bichhaḌ jā.ūñgā tab achchhe rahoge

    bikhar jā.ūñgā tab achchhā lagegā

    hameñ 'ādat hai patthar chūmne

    hameñ kab koī lab achchhā lagegā

    yahāñ bhī ek din sham'eñ jaleñgī

    ye ghar bhī ek shab achchhā lagegā

    mohabbat zabāñ achchhī lagegī

    paḌho urdu adab achchhā lagegā

    bahut sundar ghazab achchha lagega

    tu jo pahnega sab achchha lagega

    tumhaare sath jo achchha laga hai

    tumhaare ba'd kab achchha lagega

    main sari 'umr itna chup raha hun

    mujhe har bol ab achchha lagega

    abhi kuchh der mein aankhen khulengi

    abhi kuchh der sab achchha lagega

    hamein is shahr se jaana paDega

    hamein ye shahr jab achchha lagega

    bichhaD jaunga tab achchhe rahoge

    bikhar jaunga tab achchha lagega

    hamein 'adat hai patthar chumne ki

    hamein kab koi lab achchha lagega

    yahan bhi ek din sham'en jalengi

    ye ghar bhi ek shab achchha lagega

    mohabbat ki zaban achchhi lagegi

    paDho urdu adab achchha lagega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now