bahut tarik sahra ho gaya hai
bahut tārīk sahrā ho gayā hai
havā kā shor gahrā ho gayā hai
kisī ke lams kā ye mojaza hai
badan saarā sunahrā ho gayā hai
ye dil dekhūñ ki jis ke chaar jānib
tirī yādoñ kā pahrā ho gayā hai
vahī hai ḳhāl-o-ḳhad meñ raushnī sī
pe til āñkhoñ kā gahrā ho gayā hai
kabhī us shaḳhs ko dekhā hai tum ne
mohabbat se sunahrā ho gayā hai
bahut tarik sahra ho gaya hai
hawa ka shor gahra ho gaya hai
kisi ke lams ka ye mojaza hai
badan sara sunahra ho gaya hai
ye dil dekhun ki jis ke chaar jaanib
teri yaadon ka pahra ho gaya hai
wahi hai KHal-o-KHad mein raushni si
pe til aankhon ka gahra ho gaya hai
kabhi us shaKHs ko dekha hai tum ne
mohabbat se sunahra ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.