bahut ukta gaya hun apne ji se
bahut uktā gayā huuñ apne jī se
mirā dil bhar gayā hai har kisī se
ba-zo.am-e-ḳhud ajal se maiñ laḌā huuñ
ba-zo.am-e-ḳhud maiñ haarā zindagī se
na jaane kis galī meñ kho gayā huuñ
maiñ kaT kar aap apnī zindagī se
mirā maazī mirī yādeñ kahāñ haiñ
ye pūchhūñ ab to kyā pūchhūñ kisī se
na jaane kitne unvāñ rashk karte
jo apnī dāstāñ kahte kisī se
jo aa.e jis ke jī meñ 'dard' kah le
sunūñgā har kisī kī maiñ ḳhushī se
bahut ukta gaya hun apne ji se
mera dil bhar gaya hai har kisi se
ba-zoam-e-KHud ajal se main laDa hun
ba-zoam-e-KHud main haara zindagi se
na jaane kis gali mein kho gaya hun
main kaT kar aap apni zindagi se
mera mazi meri yaaden kahan hain
ye puchhun ab to kya puchhun kisi se
na jaane kitne unwan rashk karte
jo apni dastan kahte kisi se
jo aae jis ke ji mein 'dard' kah le
sununga har kisi ki main KHushi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.