bahut ukta gaya jab shairi se
bahut uktā gayā jab shā.irī se
lipaT kar ro paḌā maiñ zindagī se
abhī kuchh duur hai shamshān lekin
badan se raakh jhaḌtī hai abhī se
use bhī zabt kahnā Thiik hogā
bahut chīḳhā huuñ maiñ par ḳhāmushī se
bas us ke ba.ad hī mīThī nadī hai
kahā āvārgī ne tishnagī se
lagā hai sochne thoḌā tū munsif
mire haq meñ tumhārī pairvī se
mayassar ho ga.iiñ shakleñ hazāroñ
huā ye fā.eda be-chehragī se
suno vo daur bhī aa.egā 'kāñhā'
takegā husn jab bechārgī se
bahut ukta gaya jab shairi se
lipaT kar ro paDa main zindagi se
abhi kuchh dur hai shamshan lekin
badan se rakh jhaDti hai abhi se
use bhi zabt kahna Thik hoga
bahut chiKHa hun main par KHamushi se
bas us ke baad hi miThi nadi hai
kaha aawargi ne tishnagi se
laga hai sochne thoDa tu munsif
mere haq mein tumhaari pairwi se
mayassar ho gain shaklen hazaron
hua ye faeda be-chehragi se
suno wo daur bhi aaega 'kanha'
takega husn jab bechaargi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.