bahut wasi tha lekin simaT gaya hun main
bahut vasī' thā lekin simaT gayā huuñ maiñ
ba-yak-qalam ka.ī hissoñ meñ baT gayā huuñ maiñ
mirī bisāt hai ik mauja-e-havā yā'nī
misāl-e-saf.ha-e-tārīḳh ulaT gayā huuñ maiñ
samajh rahā hai udhar vo sutūn-e-charḳh-o-zamīñ
idhar ye haal ki mehvar se haT gayā huuñ maiñ
tavālat-e-safar-e-dasht yak-qadam Thahrī
ki phir shurū' kī jānib palaT gayā huuñ maiñ
zarūr 'ishq meñ āmezish-e-havas hai 'zubair'
kabhī-kabhār jo ḳhud se lipaT gayā huuñ maiñ
bahut wasi' tha lekin simaT gaya hun main
ba-yak-qalam kai hisson mein baT gaya hun main
meri bisat hai ek mauja-e-hawa ya'ni
misal-e-safha-e-tariKH ulaT gaya hun main
samajh raha hai udhar wo sutun-e-charKH-o-zamin
idhar ye haal ki mehwar se haT gaya hun main
tawalat-e-safar-e-dasht yak-qadam Thahri
ki phir shuru' ki jaanib palaT gaya hun main
zarur 'ishq mein aamezish-e-hawas hai 'zubair'
kabhi-kabhaar jo KHud se lipaT gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.