bahut viraniyan hote hue aabaad ho jaana
bahut vīrāniyāñ hote hue ābād ho jaanā
karishma hai dil-e-nāshād kā yuuñ shaad ho jaanā
koī hālat nahīñ rahtī hai yaksāñ dīda-o-dil meñ
kabhī zanjīr ho jaanā kabhī āzād ho jaanā
baḌī be-ant himmat chāhiye rāh-e-mohabbat meñ
ye zāhir yuuñ koī mushkil nahīñ fariyād ho jaanā
agar be-sūd ho sab āh-o-zārī sāmne us ke
to phir ḳhāmosh rah kar sūrat-e-fariyād ho jaanā
mohabbat ke nagar kā bas yahī dastūr Thahrā hai
ki rāh-e-ishq meñ puurī tarah barbād ho jaanā
hamārī ḳhāksārī kā yahī in.aam kyā kam hai
miTā kar zindagī zinda diloñ kī yaad ho jaanā
baḌī had tak 'zafar' is kashmakash se ham nikal aa.e
anā tasḳhīr karnā sāya-e-ham-zād ho jaanā
vafūr-e-naġhmagī dil-bastagī shā.istagī mazmūn
tasavvur meñ rahā hai mānī-o-bahzād ho jaanā
bahut viraniyan hote hue aabaad ho jaana
karishma hai dil-e-nashad ka yun shad ho jaana
koi haalat nahin rahti hai yaksan dida-o-dil mein
kabhi zanjir ho jaana kabhi aazad ho jaana
baDi be-ant himmat chahiye rah-e-mohabbat mein
ye zahir yun koi mushkil nahin fariyaad ho jaana
agar be-sud ho sab aah-o-zari samne us ke
to phir KHamosh rah kar surat-e-fariyaad ho jaana
mohabbat ke nagar ka bas yahi dastur Thahra hai
ki rah-e-ishq mein puri tarah barbaad ho jaana
hamari KHaksari ka yahi inam kya kam hai
miTa kar zindagi zinda dilon ki yaad ho jaana
baDi had tak 'zafar' is kashmakash se hum nikal aae
ana tasKHir karna saya-e-ham-zad ho jaana
wafur-e-naghmagi dil-bastagi shaistagi mazmun
tasawwur mein raha hai mani-o-bahzad ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.