baiTh kar pas na arman-bhara dil dekha
baiTh kar paas na armān-bharā dil dekhā
ik nazar duur se hī us ne ba-mushkil dekhā
aa.ina dekh ke ḳhud ho gayā bismil dekhā
ham ne to 'aks ko qātil ke bhī qātil dekhā
hijr meñ jiinā to be-shak hai nihāyat dushvār
ishq meñ aur koī kaam na mushkil dekhā
jaan māñgī thī kahā ham ne ki tum par hai nisār
us pe kahte ho ki bas jā bhī tirā dil dekhā
maiñ samajhtā huuñ use apnī mohabbat kī kashish
tū ne muñh pher ke bhī mujh ko jo qātil dekhā
aap kī yaad se maiñ to kabhī ġhāfil na rahā
aap kahte haiñ tujhe ḳhvāb meñ ġhāfil dekhā
bistar-e-gul pe jise dekhā thā sote kal tak
aaj us nuur ke putle ko tah-e-gul dekhā
shaan allāh kī gulshan meñ nazar aa.ī hameñ
kabhī ġhunche pe nazar Daalī kabhī dil dekhā
'umr-bhar ḳhaak uḌātā rahā sahrā kī magar
'umr-bhar qais ne lailā kā na mahmil dekhā
mil gayā ḳhaak meñ ḳhud un kī hifāzat ke liye
shauq-o-armāñ kā muhāfiz tujhe ai dil dekhā
bhar diyā gauhar-e-nāyāb se ashkoñ ne mire
ḳhālī phailā huā jab dāman-e-sāhil dekhā
ham sunāne lage qissa use apnā 'shankar'
ġhair ke zikr se jis dam use ġhāfil dekhā
baiTh kar pas na arman-bhara dil dekha
ek nazar dur se hi us ne ba-mushkil dekha
aaina dekh ke KHud ho gaya bismil dekha
hum ne to 'aks ko qatil ke bhi qatil dekha
hijr mein jina to be-shak hai nihayat dushwar
ishq mein aur koi kaam na mushkil dekha
jaan mangi thi kaha hum ne ki tum par hai nisar
us pe kahte ho ki bas ja bhi tera dil dekha
main samajhta hun use apni mohabbat ki kashish
tu ne munh pher ke bhi mujh ko jo qatil dekha
aap ki yaad se main to kabhi ghafil na raha
aap kahte hain tujhe KHwab mein ghafil dekha
bistar-e-gul pe jise dekha tha sote kal tak
aaj us nur ke putle ko tah-e-gul dekha
shan allah ki gulshan mein nazar aai hamein
kabhi ghunche pe nazar Dali kabhi dil dekha
'umr-bhar KHak uData raha sahra ki magar
'umr-bhar qais ne laila ka na mahmil dekha
mil gaya KHak mein KHud un ki hifazat ke liye
shauq-o-arman ka muhafiz tujhe ai dil dekha
bhar diya gauhar-e-nayab se ashkon ne mere
KHali phaila hua jab daman-e-sahil dekha
hum sunane lage qissa use apna 'shankar'
ghair ke zikr se jis dam use ghafil dekha
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 36)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.