baiTha hun apne gosha-e-uzlat mein sham se
baiThā huuñ apne gosha-e-uzlat meñ shaam se
ḳhat likh rahā huuñ us ko baḌe ehtimām se
māthe kī ye shikan kahīñ pahlū badal na le
tum ḳhud hī gir paḌho kahīñ apne maqām se
tarkash meñ koī tiir jo baaqī nahīñ to kyā
kah do ki haath khīñch liyā intiqām se
vo log jo ḳhudā ke ġhazab se Dare na the
tharrā uThe haiñ aaj magar tere naam se
baiTha hun apne gosha-e-uzlat mein sham se
KHat likh raha hun us ko baDe ehtimam se
mathe ki ye shikan kahin pahlu badal na le
tum KHud hi gir paDho kahin apne maqam se
tarkash mein koi tir jo baqi nahin to kya
kah do ki hath khinch liya intiqam se
wo log jo KHuda ke ghazab se Dare na the
tharra uThe hain aaj magar tere nam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.