baiTha hun apni zat ka naqsha nikal ke
baiThā huuñ apnī zaat kā naqsha nikāl ke
ik be-zamīn haarī huuñ sahrā nikāl ke
DhūñDā bahut magar koī rasta nahīñ milā
is zindagī se terā havāla nikāl ke
almārī se mile mujhe pahle pahal ke ḳhat
baiThā huā huuñ aap kā vā'da nikāl ke
vīrāniyoñ pe aañkh chhamā-chham baras paḌī
laayā huuñ maiñ to dasht se dariyā nikāl ke
āsāniyāñ hī sochte rahte haiñ yaar log
uqbā nikāl kar kabhī duniyā nikāl ke
ham raftagāñ se haT ke bhī dekheñ to she'r meñ
mauzūa kam hī bachte haiñ nauha nikāl ke
milnā kahāñ thā sahl dar-e-āgahī mujhe
aayā huuñ maiñ pahāḌ se rasta nikāl ke
vā'iz nihāl aaj ḳhushī se hai kis qadar
ik taaza iḳhtilāf kā nukta nikāl ke
mun.im ko us nivāle kī lazzat kā kyā patā
mazdūr jo kamā.e pasīna nikāl ke
hālāt kyā ġharīb ke badle ki har koī
le aayā hai qarīb kā rishta nikāl ke
'jāzib' kahāñ ḳhabar thī ki hai baaz taak meñ
ham shaad the qafas se parinda nikāl ke
baiTha hun apni zat ka naqsha nikal ke
ek be-zamin haari hun sahra nikal ke
DhunDa bahut magar koi rasta nahin mila
is zindagi se tera hawala nikal ke
almari se mile mujhe pahle pahal ke KHat
baiTha hua hun aap ka wa'da nikal ke
viraniyon pe aankh chhama-chham baras paDi
laya hun main to dasht se dariya nikal ke
aasaniyan hi sochte rahte hain yar log
uqba nikal kar kabhi duniya nikal ke
hum raftagan se haT ke bhi dekhen to she'r mein
mauzua kam hi bachte hain nauha nikal ke
milna kahan tha sahl dar-e-agahi mujhe
aaya hun main pahaD se rasta nikal ke
wa'iz nihaal aaj KHushi se hai kis qadar
ek taza iKHtilaf ka nukta nikal ke
munim ko us niwale ki lazzat ka kya pata
mazdur jo kamae pasina nikal ke
haalat kya gharib ke badle ki har koi
le aaya hai qarib ka rishta nikal ke
'jazib' kahan KHabar thi ki hai baz tak mein
hum shad the qafas se parinda nikal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.