baiTha hun chup lagae mohabbat ki rah mein
baiThā huuñ chup lagā.e mohabbat kī raah meñ
tasvīr un kī phirtī hai merī nigāh meñ
apne parā.e ho ga.e ulfat kī raah meñ
duniyā badal badal ga.ī apnī nigāh meñ
rakhtā huuñ Dar ke paañv mohabbat kī raah meñ
ek ek pech-o-ḳham haiñ hamārī nigāh meñ
gardan pe teġh phir ga.ī dil par chhurī chalī
dohrā asar thā ik tirī tirchhī nigāh meñ
rahtā hai dil ke sāmne 'ālam ḳhayāl kā
duniyā-e-husn phirtī hai merī nigāh meñ
ā.īna dekhte ho jo tan-tan ke bār-bār
dekho samā na jaao ḳhud apnī nigāh meñ
vo shaad kyā ho vādī-e-aiman ko dekh kar
har zarra barq-e-tūr hai jis kī nigāh meñ
ab tak bahut ġhurūr hai ab tak bahut hai naaz
do din rahā thā koī tumhārī nigāh meñ
tum kyā samā ga.e ho ki ham ne samajh liyā
duniyā samā ga.ī hai hamārī nigāh meñ
'bismil' ho kyā umīd-e-karam ḳhud-pasand se
achchhā nahīñ koī bhī kisī kī nigāh meñ
baiTha hun chup lagae mohabbat ki rah mein
taswir un ki phirti hai meri nigah mein
apne parae ho gae ulfat ki rah mein
duniya badal badal gai apni nigah mein
rakhta hun Dar ke panw mohabbat ki rah mein
ek ek pech-o-KHam hain hamari nigah mein
gardan pe tegh phir gai dil par chhuri chali
dohra asar tha ek teri tirchhi nigah mein
rahta hai dil ke samne 'alam KHayal ka
duniya-e-husn phirti hai meri nigah mein
aaina dekhte ho jo tan-tan ke bar-bar
dekho sama na jao KHud apni nigah mein
wo shad kya ho wadi-e-aiman ko dekh kar
har zarra barq-e-tur hai jis ki nigah mein
ab tak bahut ghurur hai ab tak bahut hai naz
do din raha tha koi tumhaari nigah mein
tum kya sama gae ho ki hum ne samajh liya
duniya sama gai hai hamari nigah mein
'bismil' ho kya umid-e-karam KHud-pasand se
achchha nahin koi bhi kisi ki nigah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.