baiTha hun dil ke dagh numayan kiye hue
baiThā huuñ dil ke daaġh numāyāñ kiye hue
muddat huī thī ghar meñ charāġhāñ kiye hue
pūchho na mujh se shahr-e-nigārāñ se kyā milā
phirtā huuñ apnā chaak garebāñ kiye hue
bhūleñge ham na aap ke jaur-o-sitam kabhī
baiThe haiñ apne siine meñ pinhāñ kiye hue
ik baar aur haal mirā dekh jā.iye
muddat huī hai aap ko ehsāñ kiye hue
aaj aap aa ke baḳhsh deñ rangīni-e-hayāt
muddat huī hai jashn-e-charāġhāñ kiye hue
baiTha hun dil ke dagh numayan kiye hue
muddat hui thi ghar mein charaghan kiye hue
puchho na mujh se shahr-e-nigaran se kya mila
phirta hun apna chaak gareban kiye hue
bhulenge hum na aap ke jaur-o-sitam kabhi
baiThe hain apne sine mein pinhan kiye hue
ek bar aur haal mera dekh jaiye
muddat hui hai aap ko ehsan kiye hue
aaj aap aa ke baKHsh den rangini-e-hayat
muddat hui hai jashn-e-charaghan kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.