baiTha hun dil mein yar ko mehman kiye hue
baiThā huuñ dil meñ yaar ko mehmāñ kiye hue
zarre ko rashk-e-mahr-e-daraḳhshāñ kiye hue
terī nigāh-e-lutf ke shāyāñ kiye hue
laayā huuñ dil ko rashk-e-gulistāñ kiye hue
ik maiñ ki jam.a apne hī dil ko na kar sakā
ik tum ki jitne dil bhī pareshāñ kiye hue
yuuñ kah rahā huuñ girya-e-furqat kā mājrā
har ashk hai tahayya-e-tūfāñ kiye hue
kahtī hai ab vo aañkh mirā qissa-e-vafā
ehsās-e-infi.āl ko unvāñ kiye hue
baiThe haiñ ahl-e-shauq tirī jalva-gāh meñ
tār-e-nazar ko tār-e-rag-e-jāñ kiye hue
ehsās kī hudūd meñ kyoñ kar Thahar sake
jo dil ho sair-e-ālam-e-vijdāñ kiye hue
ik jannat-e-nigāh hai āñkhoñ ke sāmne
dil hai tasavvur-e-ruḳh-e-jānāñ kiye hue
tauba kā ehtirām bajā lekin ai 'rashīd'
pās-e-silā-e-rahmat-e-yazdāñ kiye hue
baiTha hun dil mein yar ko mehman kiye hue
zarre ko rashk-e-mahr-e-daraKHshan kiye hue
teri nigah-e-lutf ke shayan kiye hue
laya hun dil ko rashk-e-gulistan kiye hue
ek main ki jama apne hi dil ko na kar saka
ek tum ki jitne dil bhi pareshan kiye hue
yun kah raha hun girya-e-furqat ka majra
har ashk hai tahayya-e-tufan kiye hue
kahti hai ab wo aankh mera qissa-e-wafa
ehsas-e-infial ko unwan kiye hue
baiThe hain ahl-e-shauq teri jalwa-gah mein
tar-e-nazar ko tar-e-rag-e-jaan kiye hue
ehsas ki hudud mein kyon kar Thahar sake
jo dil ho sair-e-alam-e-wijdan kiye hue
ek jannat-e-nigah hai aankhon ke samne
dil hai tasawwur-e-ruKH-e-jaanan kiye hue
tauba ka ehtiram baja lekin ai 'rashid'
pas-e-sila-e-rahmat-e-yazdan kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.