baiTha hun haar kar ab uThana nahin mujhe
baiThā huuñ haar kar ab uThānā nahīñ mujhe
kitnā burā huuñ maiñ ye batānā nahīñ mujhe
ho saktā hai vahīñ se hī juḌ jaa.e merā ḳhvāb
tum bas ye karnā aaj jagānā nahīñ mujhe
mahsūs ho tumheñ bhī zarā lazzat-e-firāq
maiñ ne kahā bhī thā ki satānā nahīñ mujhe
mahsūs ho mujhe bhī zarā tishnagī kā dukh
ye chand roz tum bhī pilānā nahīñ mujhe
'faisal' tumhārī bātoñ meñ ab aanā hī nahīñ
tum laakh ye kaho ki bhulānā nahīñ mujhe
baiTha hun haar kar ab uThana nahin mujhe
kitna bura hun main ye batana nahin mujhe
ho sakta hai wahin se hi juD jae mera KHwab
tum bas ye karna aaj jagana nahin mujhe
mahsus ho tumhein bhi zara lazzat-e-firaq
main ne kaha bhi tha ki satana nahin mujhe
mahsus ho mujhe bhi zara tishnagi ka dukh
ye chand roz tum bhi pilana nahin mujhe
'faisal' tumhaari baaton mein ab aana hi nahin
tum lakh ye kaho ki bhulana nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.