baiTha hun tere abru-e-KHamdar ke nazdik
baiThā huuñ tire abrū-e-ḳhamdār ke nazdīk
sar apnā rakhā huuñ usī tarvār ke nazdīk
hoñ murda-e-dīdār mirī na.ash ko yaaro
rakh diijo Tuk us nargis-e-bīmār ke nazdīk
biktā huuñ zar-e-mehr ho bāzār-e-vafā meñ
in mūloñ girāñ neñ hoñ ḳharīdār ke nazdīk
kiiñ aur na DhūñDījo mujhe hashr meñ 'ījād'
pā se huuñ vahāñ haidar-e-karrār ke nazdīk
baiTha hun tere abru-e-KHamdar ke nazdik
sar apna rakha hun usi tarwar ke nazdik
hon murda-e-didar meri nash ko yaro
rakh dijo Tuk us nargis-e-bimar ke nazdik
bikta hun zar-e-mehr ho bazar-e-wafa mein
in mulon giran nen hon KHaridar ke nazdik
kin aur na DhunDijo mujhe hashr mein 'ijad'
pa se hun wahan haidar-e-karrar ke nazdik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.