baiTha hun waqf-e-matam-e-hasti miTa hua
Interesting Fact
(Qalami Aks, 1960)
baiThā huuñ vaqf-e-mātam-e-hastī miTā huā
zahr-e-vafā hai ghar kī fazā meñ ghulā huā
ḳhud un ke paas jā.ūñ na un ko bulā.ūñ paas
paayā hai vo mizāj ki jiinā balā huā
apnī zabāñ ko aaj vo tāsīr hai nasīb
jis ko ḳhudā-e-husn kahā vo ḳhudā huā
us par ġhalat hai ishq meñ ilzām-e-dushmanī
qātil hai mere hujla-e-jāñ meñ chhupā huā
jaañ hai to fikr-e-ishrat-e-bazm-e-jahāñ bhī hai
kab dil se dard-e-ālam-e-imkāñ judā huā
haiñ jism-o-jāñ baham ye magar kis ko hai ḳhabar
kis kis jagah se dāman-e-dil hai silā huā
hai rāhvār-e-shauq pe āseb-e-be-dilī
rakkhā hai kab se sāmne sāġhar bharā huā
hāsil hai jis ko 'arsh' fazāoñ pe iḳhtiyār
vo dil ke saath khel rahā hai to kyā huā
baiTha hun waqf-e-matam-e-hasti miTa hua
zahr-e-wafa hai ghar ki faza mein ghula hua
KHud un ke pas jaun na un ko bulaun pas
paya hai wo mizaj ki jina bala hua
apni zaban ko aaj wo tasir hai nasib
jis ko KHuda-e-husn kaha wo KHuda hua
us par ghalat hai ishq mein ilzam-e-dushmani
qatil hai mere hujla-e-jaan mein chhupa hua
jaan hai to fikr-e-ishrat-e-bazm-e-jahan bhi hai
kab dil se dard-e-alam-e-imkan juda hua
hain jism-o-jaan baham ye magar kis ko hai KHabar
kis kis jagah se daman-e-dil hai sila hua
hai rahwar-e-shauq pe aaseb-e-be-dili
rakkha hai kab se samne saghar bhara hua
hasil hai jis ko 'arsh' fazaon pe iKHtiyar
wo dil ke sath khel raha hai to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.