baiThe baiThe koi KHayal aaya
baiThe baiThe koī ḳhayāl aayā
zinda rahne kā phir savāl aayā
kaun dariyāoñ kā hisāb rakhe
nekiyāñ nekiyoñ meñ Daal aayā
zindagī kis tarah guzārte haiñ
zindagī bhar na ye kamāl aayā
jhuuT bolā hai koī ā.īna
varna patthar meñ kaise baal aayā
vo jo do-gaz zamīñ thī mere naam
āsmāñ kī taraf uchhāl aayā
kyuuñ ye sailāb sā hai āñkhoñ meñ
muskurā.e the ham-ḳhayāl aayā
baiThe baiThe koi KHayal aaya
zinda rahne ka phir sawal aaya
kaun dariyaon ka hisab rakhe
nekiyan nekiyon mein Dal aaya
zindagi kis tarah guzarte hain
zindagi bhar na ye kamal aaya
jhuT bola hai koi aaina
warna patthar mein kaise baal aaya
wo jo do-gaz zamin thi mere nam
aasman ki taraf uchhaal aaya
kyun ye sailab sa hai aankhon mein
muskurae the ham-KHayal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.