baiThe baiThe main gulistan bhi ho jata hun
baiThe baiThe maiñ gulistān bhī ho jaatā huuñ
chand mintoñ meñ bayābān bhī ho jaatā huuñ
apnī āñkhoñ pe yaqīn aatā nahīñ hai mujh ko
aa.ina dekh ke hairān bhī ho jaatā huuñ
ai charāġho mujhe tum añkh dikhānā chhoḌo
kabhī āñdhī kabhī tūfān bhī ho jaatā huuñ
maiñ riyāzī kī tarah lagtā huuñ mushkil lekin
thoḌī koshish se maiñ āsān bhī ho jaatā huuñ
maiñ kisī baat pe hairān nahīñ hotā kyoñ
maiñ isī baat pe hairān bhī ho jaatā huuñ
bhuul jaatā huuñ kahīñ rakh ke maiñ aksar ḳhud ko
DhūñDte DhūñDte halkān bhī ho jaatā huuñ
mere andar bhī kabhī chaltī hai zahrīlī havā
shahr huuñ par kabhī vīrān bhī ho jaatā huuñ
apne hoñToñ pe lagā letā huuñ maiñ qufl 'kamāl'
maiñ kabhī aañkh kabhī kaan bhī ho jaatā huuñ
baiThe baiThe main gulistan bhi ho jata hun
chand minton mein bayaban bhi ho jata hun
apni aankhon pe yaqin aata nahin hai mujh ko
aaina dekh ke hairan bhi ho jata hun
ai charagho mujhe tum ankh dikhana chhoDo
kabhi aandhi kabhi tufan bhi ho jata hun
main riyazi ki tarah lagta hun mushkil lekin
thoDi koshish se main aasan bhi ho jata hun
main kisi baat pe hairan nahin hota kyon
main isi baat pe hairan bhi ho jata hun
bhul jata hun kahin rakh ke main aksar KHud ko
DhunDte DhunDte halkan bhi ho jata hun
mere andar bhi kabhi chalti hai zahrili hawa
shahr hun par kabhi viran bhi ho jata hun
apne honTon pe laga leta hun main qufl 'kamal'
main kabhi aankh kabhi kan bhi ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.