Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiThe hain gulsitan mein himmat ko haar ke

Kamal Lakhnavi

baiThe hain gulsitan mein himmat ko haar ke

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    baiThe haiñ gulsitān meñ himmat ko haar ke

    un se sulajh sakeñge na gesū bahār ke

    vāraftagī-e-shauq aalam to dekhiye

    baiThā huā huuñ bazm-e-tamannā sañvār ke

    rag rag meñ maujzan hai mirī kaif-e-iztirāb

    o yaad aane vaale shab-e-intizār ke

    nairañgī-e-junūñ ke karishme to dekhiye

    sāmān ho rahe haiñ qafas meñ bahār ke

    āġhosh-e-inqalāb meñ paltī rahī hayāt

    ehsān haiñ ye gardish-e-lail-o-nahār ke

    ahl-e-chaman chaman fazāoñ se hoshiyār

    pahre jagah jagah pe haiñ barq-o-sharār ke

    tanzīm-e-hādsāt naqsha badal diyā

    nazm-e-jahāñ zulf-e-pareshāñ sañvār ke

    ġhaflat-shi.ār-e-vaqt na bedār ho sake

    ḳhāmosh ho gayā hai zamāna pukār ke

    baḌhtā hai ġham samt masarrat se ai 'kamāl'

    allah re hausle dil-e-ummīd-vār ke

    baiThe hain gulsitan mein himmat ko haar ke

    un se sulajh sakenge na gesu bahaar ke

    waraftagi-e-shauq ka aalam to dekhiye

    baiTha hua hun bazm-e-tamanna sanwar ke

    rag rag mein maujzan hai meri kaif-e-iztirab

    o yaad aane wale shab-e-intizar ke

    nairangi-e-junun ke karishme to dekhiye

    saman ho rahe hain qafas mein bahaar ke

    aaghosh-e-inqalab mein palti rahi hayat

    ehsan hain ye gardish-e-lail-o-nahaar ke

    ahl-e-chaman chaman ki fazaon se hoshiyar

    pahre jagah jagah pe hain barq-o-sharar ke

    tanzim-e-hadsat ka naqsha badal diya

    nazm-e-jahan ki zulf-e-pareshan sanwar ke

    ghaflat-shiar-e-waqt na bedar ho sake

    KHamosh ho gaya hai zamana pukar ke

    baDhta hai gham ki samt masarrat se ai 'kamal'

    allah re hausle dil-e-ummid-war ke

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now