baiThe hain wo khinche hue mujh KHasta-tan ke pas
baiThe haiñ vo khiñche hue mujh ḳhasta-tan ke paas
rahte bhī haiñ to rahte haiñ shamshīr ban ke paas
us but ke saath yuuñ mirī tasvīr khīñch do
siine ke paas siina dahan ho dahan ke paas
ham ko duā do bāñdh diyā hai girah meñ dil
rakkhā hī kyā thā zulf-e-shikan-dar-shikan ke paas
lipTī rahī gale se tirī teġh hijr meñ
qismat se umr kaT ga.ī bāñkī dulhan ke paas
dil meñ hazār tiir jigar meñ hazār zaḳhm
kāñTe khaḌe hue haiñ hamāre chaman ke paas
bose vo ḳhaak degā ki dene ke naam se
muTThī meñ qaul tak nahīñ paimāñ-shikan ke paas
shīrīñ kī yaad hijr meñ hai uzr-e-ḳhud-kushī
mīThī chhurī thī tesha na thā kohkan ke paas
hasrat se kah rahā hai lab-e-gor-e-kushtagāñ
mar mar ke pahuñche haiñ ye musāfir vatan ke paas
kyā din the vo ki hote the har roz ratjage
soyā huuñ muddatoñ but-e-nāzuk-badan ke paas
dil ke phapole phūTe to ubhre jigar ke zaḳhm
jannat lagī rahī mire bait-ul-huzan ke paas
phirtī raheñgī dillī kī galiyāñ nigāh meñ
'rāsiḳh' bahisht meñ bhī rahūñgā vatan ke paas
baiThe hain wo khinche hue mujh KHasta-tan ke pas
rahte bhi hain to rahte hain shamshir ban ke pas
us but ke sath yun meri taswir khinch do
sine ke pas sina dahan ho dahan ke pas
hum ko dua do bandh diya hai girah mein dil
rakkha hi kya tha zulf-e-shikan-dar-shikan ke pas
lipTi rahi gale se teri tegh hijr mein
qismat se umr kaT gai banki dulhan ke pas
dil mein hazar tir jigar mein hazar zaKHm
kanTe khaDe hue hain hamare chaman ke pas
bose wo KHak dega ki dene ke nam se
muTThi mein qaul tak nahin paiman-shikan ke pas
shirin ki yaad hijr mein hai uzr-e-KHud-kushi
miThi chhuri thi tesha na tha kohkan ke pas
hasrat se kah raha hai lab-e-gor-e-kushtagan
mar mar ke pahunche hain ye musafir watan ke pas
kya din the wo ki hote the har roz ratjage
soya hun muddaton but-e-nazuk-badan ke pas
dil ke phapole phuTe to ubhre jigar ke zaKHm
jannat lagi rahi mere bait-ul-huzan ke pas
phirti rahengi dilli ki galiyan nigah mein
'rasiKH' bahisht mein bhi rahunga watan ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.