baiThe ho sar-e-rahguzar kyon nahin jate
baiThe ho sar-e-rahguzar kyon nahin jate
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
baiThe ho sar-e-rāhguzar kyoñ nahīñ jaate
tum log to ghar vaale ho ghar kyoñ nahīñ jaate
ye vaqt ke hākim haiñ sunā vaqt ke hākim
ye kahte haiñ mar jaao to mar kyoñ nahīñ jaate
is baat se zāhir hai tumhīñ ek ḳhudā ho
ham varna kisī aur ke dar kyoñ nahīñ jaate
pal hī meñ guzar jaatī hai sukh-chain kī rāteñ
dukh-dard ke din pal meñ guzar kyoñ nahīñ jaate
muddat se kurede bhī nahīñ yaad kisī kī
phir zaḳhm mire siine ke bhar kyoñ nahīñ jaate
is daur meñ jiinā hai to makkār kā jiinā
ye baat haqīqat hai to mar kyoñ nahīñ jaate
itne hī agar tañg ho is shahar se 'āsī'
chupke se kisī duur nagar kyoñ nahīñ jaate
baiThe ho sar-e-rahguzar kyon nahin jate
tum log to ghar wale ho ghar kyon nahin jate
ye waqt ke hakim hain suna waqt ke hakim
ye kahte hain mar jao to mar kyon nahin jate
is baat se zahir hai tumhin ek KHuda ho
hum warna kisi aur ke dar kyon nahin jate
pal hi mein guzar jati hai sukh-chain ki raaten
dukh-dard ke din pal mein guzar kyon nahin jate
muddat se kurede bhi nahin yaad kisi ki
phir zaKHm mere sine ke bhar kyon nahin jate
is daur mein jina hai to makkar ka jina
ye baat haqiqat hai to mar kyon nahin jate
itne hi agar tang ho is shahar se 'asi'
chupke se kisi dur nagar kyon nahin jate
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 100)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.