Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiThi thi kisi shaKH pe jab raat ki titli

Abdul Matin Jami

baiThi thi kisi shaKH pe jab raat ki titli

Abdul Matin Jami

MORE BYAbdul Matin Jami

    baiThī thī kisī shāḳh pe jab raat titlī

    uḌtī thī havāoñ meñ ḳhayālāt titlī

    nādān se bachche ne use qaid kiyā thā

    kamzor huī thī mire jazbāt titlī

    yak-laḳht huī jism ke mahlāt meñ rū-posh

    majbūr bahut thī mire hālāt titlī

    jazboñ mahak ruuh ke phūloñ meñ nahīñ thī

    thī vaqt har shāḳh pe ḳhatrāt titlī

    logoñ ne tarah-dār gulāboñ ko chhupāyā

    jab maiñ ne uḌaa.ī thī hidāyāt titlī

    shab-bhar mire afkār dahlīz meñ 'jāmī'

    thak-hār ke sotī rahī jazbāt titlī

    baiThi thi kisi shaKH pe jab raat ki titli

    uDti thi hawaon mein KHayalat ki titli

    nadan se bachche ne use qaid kiya tha

    kamzor hui thi mere jazbaat ki titli

    yak-laKHt hui jism ke mahlat mein ru-posh

    majbur bahut thi mere haalat ki titli

    jazbon ki mahak ruh ke phulon mein nahin thi

    thi waqt ki har shaKH pe KHatraat ki titli

    logon ne tarah-dar gulabon ko chhupaya

    jab main ne uDai thi hidayat ki titli

    shab-bhar mere afkar ki dahliz mein 'jami'

    thak-haar ke soti rahi jazbaat ki titli

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now