baj rahi thin dur kuchh shahnaiyan kal raat ko
baj rahī thiiñ duur kuchh shahnā.iyāñ kal raat ko
karvaTeñ letī rahīñ añgḌā.iyāñ kal raat ko
aarzū kā ik samundar chīḳhtā hī rah gayā
dil ke sāhil pe thiiñ bas ḳhāmoshiyāñ kal raat ko
tīrgī kā dard sannāToñ kī aahaT karb-e-hijr
saath apne laa.ī thiiñ ḳhāmoshiyāñ kal raat ko
shor-o-ġhul meñ ḳhud ko dafnā kar rakhā thā din tamām
barf sā pighlā ga.iiñ tanhā.iyāñ kal raat ko
us se milnā tang kūche meñ baḌā mahñgā paḌā
umr bhar kī de gayā rusvā.iyāñ kal raat ko
us kī ye ta.abīr hai dāman meñ hai sāhil kī ret
niiñd meñ thiiñ ḳhvāb kī gahrā.iyāñ kal raat ko
har taraf thī ik udāsī chāñd thā na chāñdnī
ḳhvāb oḌhe so rahī thiiñ badliyāñ kal raat ko
thak ke mere saath āḳhir so ga.iiñ pichhle pahar
bhīnī bhīnī yaad kī parchhā.iyāñ kal raat ko
ḳhāmushī rakhtī rahī chun chun ke palkoñ par mire
yaad kī bikhrī huī kuchh kirchiyāñ kal raat ko
niiñd kyā aatī ki bistar ban chukā thā ḳhār-zār
thapkiyāñ detī rahī thiiñ talḳhiyāñ kal raat ko
mogre kī narm nāzuk pattiyāñ tere baġhair
silvaToñ par ḳhaar kī thiiñ Tahniyāñ kal raat ko
baj rahi thin dur kuchh shahnaiyan kal raat ko
karwaTen leti rahin angDaiyan kal raat ko
aarzu ka ek samundar chiKHta hi rah gaya
dil ke sahil pe thin bas KHamoshiyan kal raat ko
tirgi ka dard sannaTon ki aahaT karb-e-hijr
sath apne lai thin KHamoshiyan kal raat ko
shor-o-ghul mein KHud ko dafna kar rakha tha din tamam
barf sa pighla gain tanhaiyan kal raat ko
us se milna tang kuche mein baDa mahnga paDa
umr bhar ki de gaya ruswaiyan kal raat ko
us ki ye tabir hai daman mein hai sahil ki ret
nind mein thin KHwab ki gahraiyan kal raat ko
har taraf thi ek udasi chand tha na chandni
KHwab oDhe so rahi thin badliyan kal raat ko
thak ke mere sath aaKHir so gain pichhle pahar
bhini bhini yaad ki parchhaiyan kal raat ko
KHamushi rakhti rahi chun chun ke palkon par mere
yaad ki bikhri hui kuchh kirchiyan kal raat ko
nind kya aati ki bistar ban chuka tha KHar-zar
thapkiyan deti rahi thin talKHiyan kal raat ko
mogre ki narm nazuk pattiyan tere baghair
silwaTon par KHar ki thin Tahniyan kal raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.