baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle
baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle
Akhtar Shirani
MORE BYAkhtar Shirani
bajā ki hai pās-e-hashr ham ko kareñge pās-e-shabāb pahle
hisāb hotā rahegā yārab hameñ mañgā de sharāb pahle
fazā-e-shab hañs ke jagmagā.ī vo nāznīñ sub.h ban ke aa.ī
huā hai raushan mire shabistāñ meñ chāñd se āftāb pahle
zabāñ pe aayā na harf-e-matlab ki kah ga.iiñ kuchh sharīr nazreñ
savāl karne na paa.e haiñ ham ki mil gayā hai javāb pahle
jināñ meñ pahle-pahal piyegā to laḌkhaḌātā phiregā zāhid
surūr-e-kausar kī hai agar dhan jahāñ meñ pī le sharāb pahle
hai ḳhusrav-e-ishq kā ye farmāñ ki dil lagānā nahīñ hai āsāñ
jise ho kū-e-butāñ kā armāñ vo kū-ba-kū ho ḳharāb pahle
ġham-o-alam ranj-o-yās-o-hasrat uThā.ūñgā sab ke ruḳh se parde
tumheñ qasam hai dil-e-hazīñ kī uThāo to tum naqāb pahle
ilāhī vo bū-e-pairahan se bhī pahle ho ham-kanār aa kar
chaman meñ hotā hai jalva-afroz phuul se māhtāb pahle
ye kis ke rañg-e-ruḳh-e-bahārīñ ne baḳhsh dī hai tarāvat-e-nau
shagufta hotā na thā gulistāñ meñ us adā se gulāb pahle
nigāh-e-sāqī kī muskurā.ī kahā jab 'aḳhtar' ne apnī dhan meñ
piyeñge piite raheñge mai-kash magar ye ḳhāna-ḳharāb pahle
baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle
hisab hota rahega yarab hamein manga de sharab pahle
faza-e-shab hans ke jagmagai wo naznin subh ban ke aai
hua hai raushan mere shabistan mein chand se aaftab pahle
zaban pe aaya na harf-e-matlab ki kah gain kuchh sharir nazren
sawal karne na pae hain hum ki mil gaya hai jawab pahle
jinan mein pahle-pahal piyega to laDkhaData phirega zahid
surur-e-kausar ki hai agar dhan jahan mein pi le sharab pahle
hai KHusraw-e-ishq ka ye farman ki dil lagana nahin hai aasan
jise ho ku-e-butan ka arman wo ku-ba-ku ho KHarab pahle
gham-o-alam ranj-o-yas-o-hasrat uThaunga sab ke ruKH se parde
tumhein qasam hai dil-e-hazin ki uThao to tum naqab pahle
ilahi wo bu-e-pairahan se bhi pahle ho ham-kanar aa kar
chaman mein hota hai jalwa-afroz phul se mahtab pahle
ye kis ke rang-e-ruKH-e-bahaarin ne baKHsh di hai tarawat-e-nau
shagufta hota na tha gulistan mein us ada se gulab pahle
nigah-e-saqi ki muskurai kaha jab 'aKHtar' ne apni dhan mein
piyenge pite rahenge mai-kash magar ye KHana-KHarab pahle
- Book : Kulliyat-e-Akhtar Shirani (Pg. 238)
- Author : Akhtar Shirani
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.