baja ki marhala-e-shauq se guzar jaun
bajā ki marhala-e-shauq se guzar jā.ūñ
nikal ke dā.e.ra-e-zāt se kidhar jā.ūñ
mire vajūd se qaa.em hai jannat-e-arzī
maiñ koī dāna-e-gandum huuñ jo bikhar jā.ūñ
ye vasvasoñ ke kalīsā ye valvaloñ ke haram
mujhe ye fikr-o-taraddud ki meñ kidhar jā.ūñ
ye kashmakash kā talātum furāt-e-bīm-o-rajā
maiñ sochtā huuñ kisī tarah paar utar jā.ūñ
talāsh-e-ḳhizr meñ har shaḳhs mubtalā hai 'ḳhalish'
mujhe ye kaun batā.e ki maiñ kidhar jā.ūñ
baja ki marhala-e-shauq se guzar jaun
nikal ke daera-e-zat se kidhar jaun
mere wajud se qaem hai jannat-e-arzi
main koi dana-e-gandum hun jo bikhar jaun
ye waswason ke kalisa ye walwalon ke haram
mujhe ye fikr-o-taraddud ki mein kidhar jaun
ye kashmakash ka talatum furaat-e-bim-o-raja
main sochta hun kisi tarah par utar jaun
talash-e-KHizr mein har shaKHs mubtala hai 'KHalish'
mujhe ye kaun batae ki main kidhar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.