baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log
bajā ye raunaq-e-mahfil magar kahāñ haiñ vo log
yahāñ jo ahl-e-mohabbat ke jā-nashīñ hoñge
kahāñ se aaj mirī ruuh meñ chamak uTThe
vo tere dukh jo tujhe yaad bhī nahīñ hoñge
zamāna garm-e-safar hai kahīñ to pā.egā
vo dil jo mehr-o-mohabbat kī sarzamīñ hoñge
maiñ kar rahā huuñ tirī chashm-e-nam se andāza
ki aane vaale zamāne bahut hasīñ hoñge
'salīm' ghar se nikal kar na jaao sahrā meñ
havā ke raag bahut dard-āfrīñ hoñge
baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log
yahan jo ahl-e-mohabbat ke ja-nashin honge
kahan se aaj meri ruh mein chamak uTThe
wo tere dukh jo tujhe yaad bhi nahin honge
zamana garm-e-safar hai kahin to paega
wo dil jo mehr-o-mohabbat ki sarzamin honge
main kar raha hun teri chashm-e-nam se andaza
ki aane wale zamane bahut hasin honge
'salim' ghar se nikal kar na jao sahra mein
hawa ke rag bahut dard-afrin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.