bajae shabnam-e-taza gulon pe KHak na ho
bajae shabnam-e-taza gulon pe KHak na ho
Abdullla Khan Manzar Talbi
MORE BYAbdullla Khan Manzar Talbi
bajā.e shabnam-e-tāza guloñ pe ḳhaak na ho
bahār aa.e magar koī siina chaak na ho
hazār ġham se guzarne ke ba.ad bhī ai dil
fasāna apnī mohabbat kā dardnāk na ho
bharam khule na mohabbat kā ai dil-e-vahshī
junūñ ho josh meñ lekin garebāñ chaak na ho
fuzūl hai ye tasallī tamāshā hamdardī
madad kā jazba agar vajah-e-ishtirāk na ho
hamārī raah meñ kāñTe kahāñ se ā.eñge
jo dushmanoñ ke diloñ par hamārī dhaak na ho
hamārā ḳhuun to shāmil ho ġhuncha-o-gul meñ
fazā-e-sahn-e-chaman meñ hamārī ḳhaak na ho
ḳhudā kā shukr ki dil merā saaf hai 'manzar'
milūñ maiñ aur mulāqāt meñ tapāk na ho
bajae shabnam-e-taza gulon pe KHak na ho
bahaar aae magar koi sina chaak na ho
hazar gham se guzarne ke baad bhi ai dil
fasana apni mohabbat ka dardnak na ho
bharam khule na mohabbat ka ai dil-e-wahshi
junun ho josh mein lekin gareban chaak na ho
fuzul hai ye tasalli tamasha hamdardi
madad ka jazba agar wajah-e-ishtirak na ho
hamari rah mein kanTe kahan se aaenge
jo dushmanon ke dilon par hamari dhak na ho
hamara KHun to shamil ho ghuncha-o-gul mein
faza-e-sahn-e-chaman mein hamari KHak na ho
KHuda ka shukr ki dil mera saf hai 'manzar'
milun main aur mulaqat mein tapak na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.