bajte hue ghunghru the uDti hui tanen thin
bajte hue ghuñghrū the uḌtī huī tāneñ thiiñ
pahle inhī galiyoñ meñ naġhmoñ kī dukāneñ thiiñ
yuuñ baiTh rahīñ dil meñ shorīda tamannā.eñ
goyā kisī jañgal meñ pattoñ kī uḌāneñ thiiñ
yārab mire hāthoñ meñ tesha bhī diyā hotā
har manzil-e-hastī meñ jab itnī chaTāneñ thiiñ
vo lamha-e-larzāñ bhī dekhā hai sar-e-mahfil
ik sho.ale kī muTThī meñ parvānoñ kī jāneñ thiiñ
ham marhala-e-ġham meñ tanhā the kahāñ yaaro
qātil the salībeñ thiiñ teġheñ thī sināneñ thiiñ
ik harf-e-mohabbat yuuñ phailā ki gunah Thahrā
afsāne hamāre the duniyā kī zabāneñ thiiñ
bajte hue ghunghru the uDti hui tanen thin
pahle inhi galiyon mein naghmon ki dukanen thin
yun baiTh rahin dil mein shorida tamannaen
goya kisi jangal mein patton ki uDanen thin
yarab mere hathon mein tesha bhi diya hota
har manzil-e-hasti mein jab itni chaTanen thin
wo lamha-e-larzan bhi dekha hai sar-e-mahfil
ek shoale ki muTThi mein parwanon ki jaanen thin
hum marhala-e-gham mein tanha the kahan yaro
qatil the saliben thin teghen thi sinanen thin
ek harf-e-mohabbat yun phaila ki gunah Thahra
afsane hamare the duniya ki zabanen thin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 228)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.