baKHshi hai kaif-e-ishq ne wo be-KHudi mujhe
baḳhshī hai kaif-e-ishq ne vo be-ḳhudī mujhe
maiñ zindagī ko bhuul gayā zindagī mujhe
daur-e-falak pe jab kabhī aa.ī hañsī mujhe
ālām-e-rozgār ne āvāz dī mujhe
tere ḳhayāl se hai vo dil-bastagī mujhe
hasrat hī ab nahīñ tire dīdār kī mujhe
ai marg-e-ishq terī navāzish kā shukriya
duniyā kī talḳhiyoñ se farāġhat milī mujhe
har shai se be-niyāz hai merā dil-e-hazīñ
tum kyā mile ki mil ga.e kaunain bhī mujhe
kal tak jo teġh tishna-e-ḳhūn-e-adū rahī
aaj us kī pyaas ḳhud hī bujhānī paḌī mujhe
faizān-e-vārsī se 'azīz'-e-jahāñ huuñ maiñ
sab kuchh hai ek silsila-e-vārsī mujhe
baKHshi hai kaif-e-ishq ne wo be-KHudi mujhe
main zindagi ko bhul gaya zindagi mujhe
daur-e-falak pe jab kabhi aai hansi mujhe
aalam-e-rozgar ne aawaz di mujhe
tere KHayal se hai wo dil-bastagi mujhe
hasrat hi ab nahin tere didar ki mujhe
ai marg-e-ishq teri nawazish ka shukriya
duniya ki talKHiyon se faraghat mili mujhe
har shai se be-niyaz hai mera dil-e-hazin
tum kya mile ki mil gae kaunain bhi mujhe
kal tak jo tegh tishna-e-KHun-e-adu rahi
aaj us ki pyas KHud hi bujhani paDi mujhe
faizan-e-warsi se 'aziz'-e-jahan hun main
sab kuchh hai ek silsila-e-warsi mujhe
- Book : Mehraab (Pg. 122)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.