baKHt jaga hai tere misr ke bazaron ka
baḳht jaagā hai tire misr ke bāzāroñ kā
silsila baḌhtā hī jaatā hai ḳharīdāroñ kā
tere bad-ḳhvāhoñ kā baaqī nahīñ ab koī nishāñ
naam letā hai bhalā kaun jafā-kāroñ kā
bazm-e-ushshāq meñ aanā to junūñ hī laanā
ki yahāñ kaam nahīñ koī bhī hushyāroñ kā
sang jitne haiñ tajallī-gah-e-sad-tūr hue
kyā muqaddar hai tire shahr kī dīvāroñ kā
ġhaus-e-āzam kā laqab jis ko milā hai 'sābir'
vahī sālār hai sab qāfila-sālāroñ kā
baKHt jaga hai tere misr ke bazaron ka
silsila baDhta hi jata hai KHaridaron ka
tere bad-KHwahon ka baqi nahin ab koi nishan
nam leta hai bhala kaun jafa-karon ka
bazm-e-ushshaq mein aana to junun hi lana
ki yahan kaam nahin koi bhi hushyaron ka
sang jitne hain tajalli-gah-e-sad-tur hue
kya muqaddar hai tere shahr ki diwaron ka
ghaus-e-azam ka laqab jis ko mila hai 'sabir'
wahi salar hai sab qafila-salaron ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.