baKHt ko roya kiye aur aashiyan dekha kiye
baḳht ko royā kiye aur āshiyāñ dekhā kiye
bijliyāñ girtī rahīñ ham be-zabāñ dekhā kiye
iltifāt-e-yār shakl-e-dushmanāñ dekhā kiye
raat bhar mahfil meñ sū-e-asmāñ dekhā kiye
kar diyā sayyād ne qaid-e-qafas to kyā huā
ham asīrī meñ bhī ḳhvāb-e-gulsitāñ dekhā kiye
patte patte se ḳhizāñ ne khīñch lī jān-e-bahār
gulsitāñ luTtā rahā aur bāġhbāñ dekhā kiye
ġhair us kī bazm meñ aate rahe jaate rahe
ham baḌī hasrat se rū-e-pāsbāñ dekhā kiye
rafta-rafta jaan bhī nazr-e-alam karnī paḌī
har masarrat jab nasīb-e-dushmanāñ dekhā kiye
miTne vāloñ ke liye asbāb kī hājat nahīñ
kyā kaheñ ham kyoñ kisī kā āstāñ dekhā kiye
baḳht ne kab ek hālat par hameñ rahne diyā
umr bhar ham inqilābāt-e-jahāñ dekhā kiye
un kī āñkhoñ un ke dil ko āfrīñ sad-āfrīñ
dost ban kar jo mirī barbādiyāñ dekhā kiye
vaj.h kuchh ho ham ne jab se aañkh kholī hai 'munīr'
roz-o-shab barbādī-e-hindostāñ dekhā kiye
baKHt ko roya kiye aur aashiyan dekha kiye
bijliyan girti rahin hum be-zaban dekha kiye
iltifat-e-yar shakl-e-dushmanan dekha kiye
raat bhar mahfil mein su-e-asman dekha kiye
kar diya sayyaad ne qaid-e-qafas to kya hua
hum asiri mein bhi KHwab-e-gulsitan dekha kiye
patte patte se KHizan ne khinch li jaan-e-bahaar
gulsitan luTta raha aur baghban dekha kiye
ghair us ki bazm mein aate rahe jate rahe
hum baDi hasrat se ru-e-pasban dekha kiye
rafta-rafta jaan bhi nazr-e-alam karni paDi
har masarrat jab nasib-e-dushmanan dekha kiye
miTne walon ke liye asbab ki hajat nahin
kya kahen hum kyon kisi ka aastan dekha kiye
baKHt ne kab ek haalat par hamein rahne diya
umr bhar hum inqilabaat-e-jahan dekha kiye
un ki aankhon un ke dil ko aafrin sad-afrin
dost ban kar jo meri barbaadiyan dekha kiye
wajh kuchh ho hum ne jab se aankh kholi hai 'munir'
roz-o-shab barbaadi-e-hindostan dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.