bal paDe chitwan pe abru tan ke KHanjar ho gae
bal paDe chitwan pe abru tan ke KHanjar ho gae
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
bal paḌe chitvan pe abrū tan ke ḳhanjar ho ga.e
zikr-e-vasl aate hī vo jaame se bāhar ho ga.e
ban ga.e vo harf-e-matlab sun ke tasvīr-e-hayā
surḳh fart-e-sharm se ruḳhsār-e-anvar ho ga.e
jitne qatre āñsuoñ ke yād-e-dandāñ meñ gire
gauhar-e-ḳhush-āb āñkhoñ se nikal kar ho ga.e
ro diye fariyād par merī butān-e-sang-dil
mere nāloñ se pighal kar mom patthar ho ga.e
ik bahāna chāhiye un ko bigaḌne ke liye
maiñ ne zulfoñ kī balā.eñ liiñ mire sar ho ga.e
ho gayā badmast maiñ un se milāte hī nazar
dīda-e-maḳhmūr mere haq meñ sāġhar ho ga.e
ābla-pā.ī hamārī rang laa.ī dasht meñ
ḳhār-e-sahrā tishna-e-ḳhūñ ho ke nashtar ho ga.e
vo but-e-ā.īna-sīmā zīnat-e-pahlū hai 'nāz'
aaj to ham bhī nasībe ke sikandar ho ga.e
bal paDe chitwan pe abru tan ke KHanjar ho gae
zikr-e-wasl aate hi wo jame se bahar ho gae
ban gae wo harf-e-matlab sun ke taswir-e-haya
surKH fart-e-sharm se ruKHsar-e-anwar ho gae
jitne qatre aansuon ke yaad-e-dandan mein gire
gauhar-e-KHush-ab aankhon se nikal kar ho gae
ro diye fariyaad par meri butan-e-sang-dil
mere nalon se pighal kar mom patthar ho gae
ek bahana chahiye un ko bigaDne ke liye
main ne zulfon ki balaen lin mere sar ho gae
ho gaya badmast main un se milate hi nazar
dida-e-maKHmur mere haq mein saghar ho gae
aabla-pai hamari rang lai dasht mein
KHar-e-sahra tishna-e-KHun ho ke nashtar ho gae
wo but-e-aina-sima zinat-e-pahlu hai 'naz'
aaj to hum bhi nasibe ke sikandar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.