bal paḌne lagā abrū-e-ḳhamdār ke uupar
aa jaa.e na aafat kahīñ do-chār ke uupar
qatrāt-e-araq haiñ nahīñ ye silk-e-guhar haiñ
kyā aks-fagan us ruḳh-e-gulnār ke uupar
ḳhūñ-rezī pe bāñdhegā kamar jab ki vo saffāk
gulzār banā degā tan-e-zār ke uupar
bosa jo talab maiñ ne kiyā bole ye aġhyār
talvār chalegī isī takrār ke uupar
va.ada kiyā aane kā par aa.e nahīñ hargiz
kyā ho.e yaqīn aap ke iqrār ke uupar
ḳhūboñ ko mohabbat hai buroñ se bhī ki juuñ gul
rahtā hai sadā sāya-fagan ḳhaar ke uupar
tāsīr hai taqrīr meñ us shoḳh kī itnī
ḳhāmosh huiiñ bulbuleñ guftār ke uupar
bal paDne laga abru-e-KHamdar ke upar
aa jae na aafat kahin do-chaar ke upar
qatraat-e-araq hain nahin ye silk-e-guhar hain
kya aks-fagan us ruKH-e-gulnar ke upar
KHun-rezi pe bandhega kamar jab ki wo saffak
gulzar bana dega tan-e-zar ke upar
bosa jo talab main ne kiya bole ye aghyar
talwar chalegi isi takrar ke upar
wada kiya aane ka par aae nahin hargiz
kya hoe yaqin aap ke iqrar ke upar
KHubon ko mohabbat hai buron se bhi ki jun gul
rahta hai sada saya-fagan KHar ke upar
tasir hai taqrir mein us shoKH ki itni
KHamosh huin bulbulen guftar ke upar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.