bala-e-jaan hai samar bad-hawas hone ka
bala-e-jaan hai samar bad-hawas hone ka
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
balā-e-jāñ hai samar bad-havās hone kā
natīja dekh lo tum ḳhud udaas hone kā
ḳhat-e-muhīt hai hablul-varīd ke hai qarīb
yaqīn rakh tū use apne paas hone kā
hue haiñ nīm-barahna havas ne khetoñ meñ
diyā na mauqa hī paidā kapās hone kā
har ik ḳhayāl hai nafs-e-sharīr ke taabe
magar hai da.avā use haq-shanās hone kā
lapak ke chhīn liyā is qadar vo pyāsā thā
ye ehtimām thā ḳhālī gilās hone kā
na pūchho mujh se maiñ tashrīh kar nahīñ saktā
hai hādisa hī ajab qaid-e-yās hone kā
mazāq aish kā is darja gir gayā 'sāhil'
tamāshā hotā hai ab be-libās hone kā
bala-e-jaan hai samar bad-hawas hone ka
natija dekh lo tum KHud udas hone ka
KHat-e-muhit hai hablul-warid ke hai qarib
yaqin rakh tu use apne pas hone ka
hue hain nim-barahna hawas ne kheton mein
diya na mauqa hi paida kapas hone ka
har ek KHayal hai nafs-e-sharir ke tabe
magar hai dawa use haq-shanas hone ka
lapak ke chhin liya is qadar wo pyasa tha
ye ehtimam tha KHali gilas hone ka
na puchho mujh se main tashrih kar nahin sakta
hai hadisa hi ajab qaid-e-yas hone ka
mazaq aish ka is darja gir gaya 'sahil'
tamasha hota hai ab be-libas hone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.