Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

Saqib Lakhnavi

bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    balā ishq lekin har bashar qābil nahīñ hotā

    bahut pahlū haiñ aise bhī ki jin meñ dil nahīñ hotā

    nishān-e-be-nishānī miT nahīñ saktā qayāmat tak

    ye naqsh-e-haq jafā-e-dahr se bātil nahīñ hotā

    jahāñ meñ nā-umīdī ke sivā ummīd kyā ma.anī

    sabhī kahte haiñ lekin dil mirā qaa.il nahīñ hotā

    taḌapnā kis dekhoge jo zinda hoñ to sab kuchh ho

    balā-e-ishq maarā kabhī bismil nahīñ hotā

    sadā.eñ de rahā huuñ muddatoñ se ahl-e-marqad ko

    sabhī sote haiñ lekin yuuñ koī ġhāfil nahīñ hotā

    sarishk-e-ġham had shām-o-sahar meñ mil nahīñ saktī

    umañDte haiñ jo ye dariyā to phir sāhil nahīñ hotā

    duā de ishq ko ai zulm bhī zeb-e-pahlū hai

    vagarna kaisā paikāñ ho lekin dil nahīñ hotā

    farāmoshī hai lekin yaad rakhtā hai tire dar ko

    dar-e-aġhyār par 'sāqib' kabhī saa.il nahīñ hotā

    bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

    bahut pahlu hain aise bhi ki jin mein dil nahin hota

    nishan-e-be-nishani miT nahin sakta qayamat tak

    ye naqsh-e-haq jafa-e-dahr se baatil nahin hota

    jahan mein na-umidi ke siwa ummid kya mani

    sabhi kahte hain lekin dil mera qail nahin hota

    taDapna kis ka dekhoge jo zinda hon to sab kuchh ho

    bala-e-ishq ka mara kabhi bismil nahin hota

    sadaen de raha hun muddaton se ahl-e-marqad ko

    sabhi sote hain lekin yun koi ghafil nahin hota

    sarishk-e-gham ki had sham-o-sahar mein mil nahin sakti

    umanDte hain jo ye dariya to phir sahil nahin hota

    dua de ishq ko ai zulm tu bhi zeb-e-pahlu hai

    wagarna kaisa hi paikan ho lekin dil nahin hota

    faramoshi hai lekin yaad rakhta hai tere dar ko

    dar-e-aghyar par 'saqib' kabhi sail nahin hota

    Source :
    • Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 170)
    • Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
    • Publication : Urdu Acadami U.P. (1998)
    • Edition : 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now