bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri
balā jaane kisī kī hijr meñ is dil pe kyā guzrī
kare sayyād kyuuñ parvā kisī bismil pe kyā guzrī
nisār-e-sham.a ho jaanā to parvāne kī fitrat hai
na pūchho ḳhaak hone se mire mahfil pe kyā guzrī
shabistān-e-musarrat meñ jo mahv-e-aish-o-ishrat haiñ
unheñ is kā pata kyā rahrav-e-manzil pe kyā guzrī
junūn-e-qais par hañste to haiñ aql-o-ḳhirad vaale
kise ma.alūm hai ḳhud lailī-e-mahmil pe kyā guzrī
use ai kaash ye ma.alūm ho jaa.e kisī sūrat
ki us kī be-ruḳhī se 'qādrī' ke dil pe kyā guzrī
bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri
kare sayyaad kyun parwa kisi bismil pe kya guzri
nisar-e-shama ho jaana to parwane ki fitrat hai
na puchho KHak hone se mere mahfil pe kya guzri
shabistan-e-musarrat mein jo mahw-e-aish-o-ishrat hain
unhen is ka pata kya rahraw-e-manzil pe kya guzri
junun-e-qais par hanste to hain aql-o-KHirad wale
kise malum hai KHud laili-e-mahmil pe kya guzri
use ai kash ye malum ho jae kisi surat
ki us ki be-ruKHi se 'qadri' ke dil pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.