bala ka shor-o-fughan hai nihan KHamoshi mein
bala ka shor-o-fughan hai nihan KHamoshi mein
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
balā kā shor-o-fuġhāñ hai nihāñ ḳhamoshī meñ
maiñ khul ke sāmne aayā huuñ parda-poshī meñ
nigāh-e-adl se dekheñ to mīr-e-mahfil ke
jalāl-o-māl muāvin haiñ aib-poshī meñ
maiñ tan huuñ shah-e-rag-e-jāñ ko mujhe bachānā hai
chalā huuñ jānib-e-kashmīr sarfaroshī meñ
jis imbisāt se suqrāt pī gayā thā jaam
use yaqīn thā amrit hai zahr-noshī meñ
ye kyā ki zo.am-e-qazāvat meñ qaid kar liyā hai
koī to aib nikāleñ janāb doshī meñ
tumhārī aañkh se miltā hai jo zamāne ko
kahāñ surūr hai aisā sharāb-noshī meñ
yatīm-e-tāza ko ye nāgavār guzregī
azā kī baat na kar rasm-e-tāj-poshī meñ
bala ka shor-o-fughan hai nihan KHamoshi mein
main khul ke samne aaya hun parda-poshi mein
nigah-e-adl se dekhen to mir-e-mahfil ke
jalal-o-mal muawin hain aib-poshi mein
main tan hun shah-e-rag-e-jaan ko mujhe bachana hai
chala hun jaanib-e-kashmir sarfaroshi mein
jis imbisat se suqraat pi gaya tha jam
use yaqin tha amrit hai zahr-noshi mein
ye kya ki zoam-e-qazawat mein qaid kar liya hai
koi to aib nikalen janab doshi mein
tumhaari aankh se milta hai jo zamane ko
kahan surur hai aisa sharab-noshi mein
yatim-e-taza ko ye nagawar guzregi
aza ki baat na kar rasm-e-taj-poshi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.