bala ki beDiyan ulfat mein pahnin jaan-e-man do do
bala ki beDiyan ulfat mein pahnin jaan-e-man do do
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
balā kī beḌiyāñ ulfat meñ pahnīñ jān-e-man do do
dil-e-betāb apnā ek zulf-e-pur-shikan do do
kabhī is se tumheñ dekhūñ kabhī us se tumheñ dekhūñ
milī haiñ is liye āñkheñ mujhe ai jān-e-man do do
diye haiñ ek tauba kī sadā maiḳhāne ke dar par
kahīñ gardish meñ haiñ paimāna-e-tauba-shikan do do
na ghar raushan kabhī hogā na ik parvāna aa.egā
jalā.ūñ badle ik ke din ko sham-e-anjuman do do
idhar fariyād be-tāsīr udhar sīdhī nazar un kī
hamārī jaan ke ḳhvāhāñ hue nāvak-fagan do do
kahūñ maiñ kyā fasāna aap se farhād-o-majnūñ kā
bhaTakte phirte haiñ dasht-e-junūñ meñ be-vatan do do
tumhārī shoḳh āñkhoñ se bachānā us ko mushkil hai
hamārā tā.ir-e-dil ek hai nāvak-fagan do do
mire qalb-o-jigar ko dekh kar bismil koī bolā
taḌapte haiñ paḌe maqtal meñ be-gor-o-kafan do do
khilā.e husn ne kyā gul ki 'hāmid' ek muddat par
pa.e-shikva khule haiñ ab lab-e-ġhuncha-dahan do do
bala ki beDiyan ulfat mein pahnin jaan-e-man do do
dil-e-betab apna ek zulf-e-pur-shikan do do
kabhi is se tumhein dekhun kabhi us se tumhein dekhun
mili hain is liye aankhen mujhe ai jaan-e-man do do
diye hain ek tauba ki sada maiKHane ke dar par
kahin gardish mein hain paimana-e-tauba-shikan do do
na ghar raushan kabhi hoga na ek parwana aaega
jalaun badle ek ke din ko sham-e-anjuman do do
idhar fariyaad be-tasir udhar sidhi nazar un ki
hamari jaan ke KHwahan hue nawak-fagan do do
kahun main kya fasana aap se farhad-o-majnun ka
bhaTakte phirte hain dasht-e-junun mein be-watan do do
tumhaari shoKH aankhon se bachana us ko mushkil hai
hamara tair-e-dil ek hai nawak-fagan do do
mere qalb-o-jigar ko dekh kar bismil koi bola
taDapte hain paDe maqtal mein be-gor-o-kafan do do
khilae husn ne kya gul ki 'hamid' ek muddat par
pae-shikwa khule hain ab lab-e-ghuncha-dahan do do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.