bala nai koi palun agar ijazat ho
balā na.ī koī pālūñ agar ijāzat ho
junūñ ko shauq banā luuñ agar ijāzat ho
nigār-ḳhānā-e-hastī ke ā.inoñ meñ zarā
maiñ apnā aks sajā luuñ agar ijāzat ho
sharāb-e-husn meñ mastī hai be-niyāzī kī
ḳhudī ke shīshe meñ Dhālūñ agar ijāzat ho
hamārī tum se mulāqāt ho bhī saktī hai
maiñ koī raah nikālūñ agar ijāzat ho
bahut dinoñ se haiñ uryāñ-badan ḳhayāl mire
ridā-e-harf uḌhā luuñ agar ijāzat ho
vo tishnagī jise tum salsabīl kahte ho
laboñ pe maiñ bhī uThā luuñ agar ijāzat ho
nazar zuhūr ke jin tajraboñ se guzrī hai
kabhī kisī ko batā luuñ agar ijāzat ho
kisī se dil hī nahīñ mil sakā 'shahāb' to ab
nazar tumhī se milā luuñ agar ijāzat ho
bala nai koi palun agar ijazat ho
junun ko shauq bana lun agar ijazat ho
nigar-KHana-e-hasti ke aainon mein zara
main apna aks saja lun agar ijazat ho
sharab-e-husn mein masti hai be-niyazi ki
KHudi ke shishe mein Dhaalun agar ijazat ho
hamari tum se mulaqat ho bhi sakti hai
main koi rah nikalun agar ijazat ho
bahut dinon se hain uryan-badan KHayal mere
rida-e-harf uDha lun agar ijazat ho
wo tishnagi jise tum salsabil kahte ho
labon pe main bhi uTha lun agar ijazat ho
nazar zuhur ke jin tajrabon se guzri hai
kabhi kisi ko bata lun agar ijazat ho
kisi se dil hi nahin mil saka 'shahab' to ab
nazar tumhi se mila lun agar ijazat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.