bala se gar rahe ye na-shunida
balā se gar rahe ye nā-shunīda
mirī maano likho apnā qasīda
shab-e-ġham kāTne vāloñ se pūchho
hai kitnī shoḳh subh-e-nau-damīda
karoge tum use nazr-e-junūñ kyā
qabā-e-zindagī ḳhud hai darīda
sambhalnā aur bhī dushvār hogā
mujhe kahtī hai duniyā barguzīda
bala se gar rahe ye na-shunida
meri mano likho apna qasida
shab-e-gham kaTne walon se puchho
hai kitni shoKH subh-e-nau-damida
karoge tum use nazr-e-junun kya
qaba-e-zindagi KHud hai darida
sambhalna aur bhi dushwar hoga
mujhe kahti hai duniya barguzida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.