balaen parda-e-simin pe jalwa-gar hongi
balā.eñ parda-e-sīmīñ pe jalva-gar hoñgī
na.ī kahānī kī buniyādeñ ḳhauf par hoñgī
phalegā aur abhī nā-rasā.ī kā gulshan
fuġhāñ kī Tahniyāñ kuchh aur bārvar hoñgī
chhiḌī to phir na rukegī hayātyātī jang
hamārī zindagiyāñ ḳhauf meñ basar hoñgī
jo aks-band karoge hamārī vahshatoñ ko
to zombie film se baḌh kar vo mushtahar hoñgī
nizām-e-dahr mashīnoñ ke haath meñ hogā
jadīd daur kī tahzībeñ be-bashar hoñgī
kabhī na faisla ho pā.egā kidhar jaa.eñ
nazar ke sāmne duniyā.eñ is qadar hoñgī
ham un meñ baiTh ke ghūmeñge kā.enātoñ meñ
na.ī savāriyāñ kirnoñ se tez-tar hoñgī
rahegā ab na kahīñ vaqt kā tasavvur bhī
tamām sā'ateñ be-shām-o-be-sahar hoñgī
jidhar ko baaġh the bāzār ban ga.e haiñ vahāñ
na jaane tum se mulāqāteñ ab kidhar hoñgī
vo TuuT jā.eñge jo haath tum jhaTak doge
vo phuuT jā.eñgī jo āñkheñ be-basar hoñgī
ḳhudā ke nuur se mahrūm haiñ jo tahzībeñ
vo kahkashāñ kī taraf āzim-e-safar hoñgī
aur ab to chāñd pe ābād-kārī hone lagī
chamaktī vādiyāñ insāñ kā mustaqar hoñgī
ye sab husūl-e-vasā.il kī dauḌ hai pyāre
na.ī laḌā.iyāñ mirrīḳh-o-māh par hoñgī
ye baat kyoñ nahīñ sochī clone-sāzoñ ne
ki is se mushkileñ insāñ ko kis qadar hoñgī
na ab udāsiyāñ hoñgī bikher kar ḳhud ko
na ab masarrateñ ḳhud ko sameT kar hoñgī
hamāre tajrabe auroñ ko fā.eda deñge
hamārī koshisheñ nākām bhī agar hoñgī
na sochā thā ye kabhī ḳhuld se nikalte hue
ki is se baḌh ke sazā.eñ to ḳhaak par hoñgī
jo haul-nāk haiñ parchhā.iyāñ yahāñ 'shāhid'
zarūr aur kahīñ jāzib-e-nazar hoñgī
balaen parda-e-simin pe jalwa-gar hongi
nai kahani ki buniyaaden KHauf par hongi
phalega aur abhi na-rasai ka gulshan
fughan ki Tahniyan kuchh aur barwar hongi
chhiDi to phir na rukegi hayatyati jang
hamari zindagiyan KHauf mein basar hongi
jo aks-band karoge hamari wahshaton ko
to zombie film se baDh kar wo mushtahar hongi
nizam-e-dahr mashinon ke hath mein hoga
jadid daur ki tahziben be-bashar hongi
kabhi na faisla ho paega kidhar jaen
nazar ke samne duniyaen is qadar hongi
hum un mein baiTh ke ghumenge kaenaton mein
nai sawariyan kirnon se tez-tar hongi
rahega ab na kahin waqt ka tasawwur bhi
tamam sa'aten be-sham-o-be-sahar hongi
jidhar ko bagh the bazar ban gae hain wahan
na jaane tum se mulaqaten ab kidhar hongi
wo TuT jaenge jo hath tum jhaTak doge
wo phuT jaengi jo aankhen be-basar hongi
KHuda ke nur se mahrum hain jo tahziben
wo kahkashan ki taraf aazim-e-safar hongi
aur ab to chand pe aabaad-kari hone lagi
chamakti wadiyan insan ka mustaqar hongi
ye sab husul-e-wasail ki dauD hai pyare
nai laDaiyan mirriKH-o-mah par hongi
ye baat kyon nahin sochi clone-sazon ne
ki is se mushkilen insan ko kis qadar hongi
na ab udasiyan hongi bikher kar KHud ko
na ab masarraten KHud ko sameT kar hongi
hamare tajrabe auron ko faeda denge
hamari koshishen nakaam bhi agar hongi
na socha tha ye kabhi KHuld se nikalte hue
ki is se baDh ke sazaen to KHak par hongi
jo haul-nak hain parchhaiyan yahan 'shahid'
zarur aur kahin jazib-e-nazar hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.