ballimaran se nikla ghaalib
ballimārān se niklā 'ġhālib'
apne dīvān se niklā 'ġhālib'
paḌh ke ash.ār kahe ye 'momin'
ab to īmān se niklā 'ġhālib'
shahr-e-dehlī ho ki darbār-e-'zafar'
har jagah shaan se niklā 'ġhālib'
nukta-chīñ log haiñ kuchh bhī kah leñ
apnī pahchān se niklā 'ġhālib'
mushkil-e-jāñ se hī laḌte laḌte
ek din jaan se niklā 'ġhālib'
bartarī ilm pe ġham ko de kar
ġham ke ehsān se niklā 'ġhālib'
ḳhidmat-e-sher-o-suḳhan ko 'rāshid'
puure jī-jān se niklā 'ġhālib'
ballimaran se nikla 'ghaalib'
apne diwan se nikla 'ghaalib'
paDh ke ashaar kahe ye 'momin'
ab to iman se nikla 'ghaalib'
shahr-e-dehli ho ki darbar-e-'zafar'
har jagah shan se nikla 'ghaalib'
nukta-chin log hain kuchh bhi kah len
apni pahchan se nikla 'ghaalib'
mushkil-e-jaan se hi laDte laDte
ek din jaan se nikla 'ghaalib'
bartari ilm pe gham ko de kar
gham ke ehsan se nikla 'ghaalib'
KHidmat-e-sher-o-suKHan ko 'rashid'
pure ji-jaan se nikla 'ghaalib'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.