samay se pahle bhale zindagi ki sham aae
samay se pahle bhale zindagī kī shaam aa.e
kisī tarah to udāsī kā ghaav bhar jaa.e
ham ab udaas nahīñ sar-ba-sar udāsī haiñ
hameñ charāġh nahīñ raushnī kahā jaa.e
jo sher samjhe mujhe dād-vād detā rahe
gale lagā.e jise ġham samajh meñ aa jaa.e
kisī ke hañsne se raushan huī thī bād-e-sabā
koī udaas huā to gulāb murjhā.e
ye ek dukh jo dabā rah gayā hai āñkhoñ meñ
vo ek misra.a jise sher kar nahīñ paa.e
samay se pahle bhale zindagi ki sham aae
kisi tarah to udasi ka ghaw bhar jae
hum ab udas nahin sar-ba-sar udasi hain
hamein charagh nahin raushni kaha jae
jo sher samjhe mujhe dad-wad deta rahe
gale lagae jise gham samajh mein aa jae
kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-saba
koi udas hua to gulab murjhae
ye ek dukh jo daba rah gaya hai aankhon mein
wo ek misra jise sher kar nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.