bam phuTne lagen ki samundar uchhal paDe
bam phūTne lageñ ki samundar uchhal paḌe
kab zindagī pe kaun bavanDar uchhal paḌe
dushman mirī shikast pe muñh khol kar hañse
aur dost apne jism ke andar uchhal paḌe
gahrā.iyāñ simaT ke bikharne lagīñ tamām
ik chāñd kyā dikhā ki samundar uchhal paḌe
mat chheḌiye hamāre charāġhe-e-ḳhulūs ko
shāyad koī sharār hī muñh par uchhal paḌe
ghoḌoñ kī be-lagām chhalāñgoñ ko dekh kar
bachhḌe kisī nakel ke dam par uchhal paḌe
gahrī nahīñ thī aur machaltī thī be-sabab
aisī nadī milī to shanāvar uchhal paḌe
yuuñ muñh na phernā ki sabhī dost haiñ yahāñ
kab aur kahāñ se piiTh pe ḳhanjar uchhal paḌe
bam phuTne lagen ki samundar uchhal paDe
kab zindagi pe kaun bawanDar uchhal paDe
dushman meri shikast pe munh khol kar hanse
aur dost apne jism ke andar uchhal paDe
gahraiyan simaT ke bikharne lagin tamam
ek chand kya dikha ki samundar uchhal paDe
mat chheDiye hamare charaghe-e-KHulus ko
shayad koi sharar hi munh par uchhal paDe
ghoDon ki be-lagam chhalangon ko dekh kar
bachhDe kisi nakel ke dam par uchhal paDe
gahri nahin thi aur machalti thi be-sabab
aisi nadi mili to shanawar uchhal paDe
yun munh na pherna ki sabhi dost hain yahan
kab aur kahan se piTh pe KHanjar uchhal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.