ban-bas hue jog liya yar ki KHatir
ban-bās hue jog liyā yaar kī ḳhātir
dukh sahne ko sukh-chain tajā yaar kī ḳhātir
sahtā huuñ sabhī jaur-o-jafā yaar kī ḳhātir
har tarah huuñ rāzī-ba-razā yaar kī ḳhātir
dil de diyā maiñ ne agar un ko to ajab kyā
karte haiñ sabhī shāh-o-gadā yaar kī ḳhātir
vo manzil-e-dushvār ho yā vādī-e-pur-ḳhār
tai kartā huuñ maiñ ābla-pā yaar kī ḳhātir
farmāte haiñ vo shikva-e-bedād-o-jafā par
karte haiñ sabhī ahl-e-vafā yaar kī ḳhātir
har ek se duniyā meñ kiyā tark-e-ta.alluq
apnoñ se bhī begāna huā yaar kī ḳhātir
marnā bhī pa.e-dost hayāt-e-abadī hai
har zahr-e-fanā āb-e-baqā yaar kī ḳhātir
jiinā paḌā mar mar ke mohabbat meñ 'shahīr' aah
jo kuchh na huā thā vo huā yaar kī ḳhātir
ban-bas hue jog liya yar ki KHatir
dukh sahne ko sukh-chain taja yar ki KHatir
sahta hun sabhi jaur-o-jafa yar ki KHatir
har tarah hun raazi-ba-raza yar ki KHatir
dil de diya main ne agar un ko to ajab kya
karte hain sabhi shah-o-gada yar ki KHatir
wo manzil-e-dushwar ho ya wadi-e-pur-KHar
tai karta hun main aabla-pa yar ki KHatir
farmate hain wo shikwa-e-bedad-o-jafa par
karte hain sabhi ahl-e-wafa yar ki KHatir
har ek se duniya mein kiya tark-e-talluq
apnon se bhi begana hua yar ki KHatir
marna bhi pae-dost hayat-e-abadi hai
har zahr-e-fana aab-e-baqa yar ki KHatir
jina paDa mar mar ke mohabbat mein 'shahir' aah
jo kuchh na hua tha wo hua yar ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.