ban ban kar aaj wasl ki surat bigaD gai
ban ban kar aaj vasl kī sūrat bigaḌ ga.ī
vo kyā bigaḌ ga.e mirī qismat bigaḌ ga.ī
kahte haiñ aaj duḳhtar-e-sāqī ko dekh kar
zāhid se pārsā kī bhī niyyat bigaḌ ga.ī
achchhe bane ḳhudā kī qasam vo shab-e-visāl
ye kah ke so ga.e ki tabī.at bigaḌ ga.ī
bose ke badle dil unheñ detā to ḳhuub thā
afsos len-den kī sūrat bigaḌ ga.ī
'sābir' ke sāmne hue aise zalīl ġhair
izzat to kyā hai un kī haqīqat bigaḌ ga.ī
ban ban kar aaj wasl ki surat bigaD gai
wo kya bigaD gae meri qismat bigaD gai
kahte hain aaj duKHtar-e-saqi ko dekh kar
zahid se parsa ki bhi niyyat bigaD gai
achchhe bane KHuda ki qasam wo shab-e-visal
ye kah ke so gae ki tabiat bigaD gai
bose ke badle dil unhen deta to KHub tha
afsos len-den ki surat bigaD gai
'sabir' ke samne hue aise zalil ghair
izzat to kya hai un ki haqiqat bigaD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.