ban ban ke bigaDti hai meri baat to dekho
ban ban ke bigaḌtī hai mirī baat to dekho
is kūcha-e-dil meñ mirī auqāt to dekho
jo jism tamannā meñ sulagtā hai tumhārī
us jism meñ hasrat bharī ik raat to dekho
jis aañkh ne dekhe the kabhī ḳhvāb tumhāre
us aañkh se hotī huī barsāt to dekho
ai vaqt-shanāso ye kaḌā vaqt hai kaisā
ai dast-shanāso mirā tum haat to dekho
jis aañkh meñ hai ḳhūn-e-tamannā mirā 'afroz'
us aañkh meñ surme kī karāmāt to dekho
ban ban ke bigaDti hai meri baat to dekho
is kucha-e-dil mein meri auqat to dekho
jo jism tamanna mein sulagta hai tumhaari
us jism mein hasrat bhari ek raat to dekho
jis aankh ne dekhe the kabhi KHwab tumhaare
us aankh se hoti hui barsat to dekho
ai waqt-shanaso ye kaDa waqt hai kaisa
ai dast-shanaso mera tum hat to dekho
jis aankh mein hai KHun-e-tamanna mera 'afroz'
us aankh mein surme ki karamat to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.