ban gain chhuriyan adaen naz KHanjar ho gaya
ban gain chhuriyan adaen naz KHanjar ho gaya
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
ban ga.iiñ chhuriyāñ adā.eñ naaz ḳhanjar ho gayā
jaan kā dushman har ik andāz-e-dilbar ho gayā
jalvā-e-be-tāb jab parde se bāhar ho gayā
arsa-gāh-e-ḳhalq ik maidān-e-mahshar ho gayā
but ḳhafā ho kar ga.e ehsān mujh par ho gayā
ya.anī ab ye dil faqat allāh kā ghar ho gayā
ab satā.egā mujhe kyā iztirāb-e-zindagī
ab to ye dil ranj-e-nākāmī kā ḳhūgar ho gayā
valvala thā manzil-e-ulfat meñ shauq-e-dil ke saath
ek ne himmat dilā.ī ek rahbar ho gayā
jalva-gāh-e-nāz kī ushshāq se zīnat baḌhī
ye hujūm-e-ahl-e-dīd ik husn-e-manzar ho gayā
nafs par qaabū agar paayā to sab kuchh pā liyā
jiit us kī hai ki jis se vo musaḳhḳhar ho gayā
qīmat-e-mai ho ga.ī 'ḳhushtar' hamārī zindagī
jo hamāre paas thā sab nazr-e-sāġhar ho gayā
ban gain chhuriyan adaen naz KHanjar ho gaya
jaan ka dushman har ek andaz-e-dilbar ho gaya
jalwa-e-be-tab jab parde se bahar ho gaya
arsa-gah-e-KHalq ek maidan-e-mahshar ho gaya
but KHafa ho kar gae ehsan mujh par ho gaya
yani ab ye dil faqat allah ka ghar ho gaya
ab sataega mujhe kya iztirab-e-zindagi
ab to ye dil ranj-e-nakaami ka KHugar ho gaya
walwala tha manzil-e-ulfat mein shauq-e-dil ke sath
ek ne himmat dilai ek rahbar ho gaya
jalwa-gah-e-naz ki ushshaq se zinat baDhi
ye hujum-e-ahl-e-did ek husn-e-manzar ho gaya
nafs par qabu agar paya to sab kuchh pa liya
jit us ki hai ki jis se wo musaKHKHar ho gaya
qimat-e-mai ho gai 'KHushtar' hamari zindagi
jo hamare pas tha sab nazr-e-saghar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.