ban ke ab jo sharif baiTha hai
ban ke ab jo sharīf baiThā hai
dil meñ us ke bhī thief baiThā hai
ye jo achchhā huā mire dil meñ
ek zauq-e-latīf baiThā hai
ruuh kī pāk-o-sāf masnad par
jism le kar kasīf baiThā hai
dil ke hujre meñ ek muddat se
koī saaya nahīf baiThā hai
mere dil ke hasīñ idāre kā
aaj ban kar vo chief baiThā hai
dil to baiThā hai is tarah goyā
jaise koī za.iif baiThā hai
qāfiye ke nahīf kandhe par
kaun le kar radīf baiThā hai
dekh kar aa.ina ye lagtā hai
mujh meñ merā harīf baiThā hai
in dinoñ jhuuT ke shikanje meñ
dab ke 'anvar-hanīf’ baiThā hai
ban ke ab jo sharif baiTha hai
dil mein us ke bhi thief baiTha hai
ye jo achchha hua mere dil mein
ek zauq-e-latif baiTha hai
ruh ki pak-o-saf masnad par
jism le kar kasif baiTha hai
dil ke hujre mein ek muddat se
koi saya nahif baiTha hai
mere dil ke hasin idare ka
aaj ban kar wo chief baiTha hai
dil to baiTha hai is tarah goya
jaise koi zaif baiTha hai
qafiye ke nahif kandhe par
kaun le kar radif baiTha hai
dekh kar aaina ye lagta hai
mujh mein mera harif baiTha hai
in dinon jhuT ke shikanje mein
dab ke 'anwar-hanif’ baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.