ban ke kaisi misal aaya hai
ban ke kaisī misāl aaya hai
chashm-e-tar meñ gulāl aaya hai
zindagī zor se pakaḌ ham ko
ḳhud-kushī kā ḳhayāl aaya hai
dil-sarā.e meñ gahmā-gahmī hai
koī lashkar niDhāl aaya hai
saañs lenā bhī kaisī aadat hai
dhaḌkanoñ kā savāl aaya hai
ham bhī hote the kyā bulandī par
kyā hameñ bhī zavāl aaya hai
dil sukūnat se ḳhaak ho jaatā
kaun pāgal uchhāl aaya hai
phir vo Tahnī lagā ki TuuT ga.ī
phir vo jhoñkā sañbhāl aaya hai
us kī ḳhushbū chhupā ke rakkhī thī
koī jā kar nikāl aaya hai
ba.az vaqtoñ meñ apne uupar bhī
be-tahāsha malāl aaya hai
ḳhud ko jangal kiyā gayā pahle
phir vo chanchal ġhazāl aaya hai
ban ke kaisi misal aaya hai
chashm-e-tar mein gulal aaya hai
zindagi zor se pakaD hum ko
KHud-kushi ka KHayal aaya hai
dil-sarae mein gahma-gahmi hai
koi lashkar niDhaal aaya hai
sans lena bhi kaisi aadat hai
dhaDkanon ka sawal aaya hai
hum bhi hote the kya bulandi par
kya hamein bhi zawal aaya hai
dil sukunat se KHak ho jata
kaun pagal uchhaal aaya hai
phir wo Tahni laga ki TuT gai
phir wo jhonka sanbhaal aaya hai
us ki KHushbu chhupa ke rakkhi thi
koi ja kar nikal aaya hai
baz waqton mein apne upar bhi
be-tahasha malal aaya hai
KHud ko jangal kiya gaya pahle
phir wo chanchal ghazal aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.